Natiq Gulavthi

jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
jiine degā bhī hameñ ai dil ji.eñ bhī yā na ham
kyā kaheñ ab tujh ko ham tujh ko kaheñ ab kyā na ham
uTh ga.e ham darmiyāñ se uTh gayā ham se hijāb
rah ga.e ham us ke ho kar rah gayā pardā, na ham
daulat-e-dil kyā hai jā kar ahl-e-dil se pūchhiye
maal thā apnā bhī kuchh jaane magar rakhnā na ham
rañj-e-rusvā.ī nahīñ duniyā hai rusvā.ī kā ghar
haiñ sabhī rusvā to yuuñ samjho na tum rusvā na ham
fā.eda kyā rahtī duniyā tak agar koī rahā
ye to zāhir hai ki rahne ke liye duniyā na ham
khā ga.ī ahl-e-havas kī vaz.a ahl-e-ishq ko
baat kis kī rah ga.ī koī adū sachchā na ham
ḳhud-farāmoshī ne rakkhā hai giraftār-e-ḳhudī
chhūTte kyuuñ chhoḌte dāman agar apnā na ham
is se kuchh hotī agar 'nātiq' hameñ taskīn-e-tab.a
aaj tak sab jam.a kar lete kalām apnā na ham
Top Urdushayar.com