rindān-e-bāda-nosh  kī  chhāgal  uThā  to  lā
bād-e-bahār  dauḌ  ke  bādal  uThā  to  lā
aa  umr-e-rafta  hashr  ke  dam-ḳham  bhī  dekh  leñ
tūfān-e-zindagī  kī  vo  halchal  uThā  to  lā
sar  se  dayār-e-ġham  ke  sanīchar  utaar  de
mañgal  hai  jis  meñ  jā  ke  vo  jañgal  uThā  to  lā
lālach  batā  ke  duur  se  vaa.iz  kā  rañg  dekh
ḳhālī  hī  kyuuñ  na  ho  koī  botal  uThā  to  lā
ai  zindagī  junūñ  na  sahī  be-ḳhudī  sahī
tū  kuchh  bhī  apnī  aql  se  pāgal  uThā  to  lā
aatī  hai  yaad  sub.h-e-masarrat  kī  baar  baar
ḳhurshīd  aate  aate  use  kal  uThā  to  lā
kashtī  hai  ghaaT  par  to  chale  kyuuñ  na  daur  aaj
kal  bas  chale  chale  na  chale  chal  uThā  to  lā
'nātiq'  junūn-e-ḳhidmat-e-ahbāb  kis  liye
dekheñ  to  kyā  milā  hai  tujhe  phal  uThā  to  lā