mahfil-e-nāz  se  maiñ  ho  ke  pareshān  uThā
baiThne  bhī  nahīñ  paayā  thā  ki  tūfān  uThā
zid  na  kar  ai  dil-e-nāshād,  kahā  maan  uThā
ghar  meñ  rahne  kā  Thikāna  nahīñ  sāmān  uThā
ban  ravādār  ye  apnoñ  kī  shikāyat  kaisī
naam  isī  kā  to  muravvat  hai  ki  nuqsān  uThā
sab  sitāre  nahīñ  is  rāhguzar  ke  zarre
dil  ke  TukḌe  bhī  inhīñ  meñ  to  haiñ  pahchān,  uThā
Thokareñ  khā  ke  musībat  kī  samajh  to  aa.ī
aadmī  ban  to  gayā,  chauñk  to  insān  uThā
maslahat  vaqt  kī  aaj  aur  hai  ai  bāda-farosh
kal  kī  kal  socheñge  is  vaqt  to  dukkān  uThā
aise  bohtān  lagā.e  ki  ḳhudā  yaad  aayā
but  ne  ghabrā  ke  kahā  mujh  se  ki  qur.ān  uThā
aaj  hai  kis  liye  aisā  tirā  andāz-e-hijāb
ajnabī  kaun  hai  mahfil  meñ  pakaḌ  kaan  uThā
dekh  ye  baar  kabhī  sar  se  utartā  hī  nahīñ
zindagī  bhar  kī  musībat  hai  na  ehsān  uThā
sher-goī  na.e  andāz  kī  tajdīd-e-ḳhayāl
dekhnā  chāhe  to  'nātiq'  mirā  dīvān  uThā