aa  ga.ī  dil  kī  lagī  baḌh  ke  rag-e-jāñ  ke  qarīb
qāfila  shauq  kā  hai  manzil-e-armāñ  ke  qarīb
ādamiyyat  nahīñ  phaTkī  tire  darbāñ  ke  qarīb
varna  aatā  to  hai  insān  hī  insāñ  ke  qarīb
vaz-e-pābandī  o  āzādī-e-hastī  tauba
ya.anī  zindāñ  se  kahīñ  duur  na  zindāñ  ke  qarīb
jur.at-e-afzā-e-savāl  ai  zahe  andāz-e-javāb
aatī  jaatī  hai  ab  us  but  kī  nahīñ  haañ  ke  qarīb
hai  to  kuchh  hashr  kī  aamad  kā  hameñ  bhī  khaTkā
is  ke  āsār  to  haiñ  ganj-e-shahīdāñ  ke  qarīb
mujh  ko  ma.alūm  huā  ab  ki  zamāna  tum  ho
mil  ga.ī  rāh-e-sukūñ  gardish-e-daurāñ  ke  qarīb
ġham-o-andoh  kā  lashkar  bhī  chalā  aatā  hai
ek  ghoḌ-dauḌ  sī  hai  umr-e-gurezāñ  ke  qarīb
girya-e-ġham  ko  hai  palkoñ  kā  ishāra  darkār
ek  umDā  huā  tūfān  hai  mizhgāñ  ke  qarīb
jaan  kis  kis  ko  sambhāle  ki  sab  ajzā-e-vajūd
haiñ  pareshāni-e-ḳhātir  se  pareshāñ  ke  qarīb
paañv  dāman  se  ulajhte  haiñ  ḳhudā  ḳhair  kare
haath  rahte  haiñ  ka.ī  din  se  garebāñ  ke  qarīb
bhuul  jā  ḳhud  ko  ki  hai  ma.arifat-e-nafs  yahī
koī  rahtā  hī  nahīñ  sarhad-e-irfāñ  ke  qarīb
kasrat-e-ḳhār  rah-e-shauq  ilāhī  tauba
kahīñ  pahuñche  to  nahīñ  rauza-e-rizvāñ  ke  qarīb
marhabā  bandagī-āmoz  tasavvur  terā
jis  ke  ehsān  se  pahuñchā  huuñ  maiñ  ehsāñ  ke  qarīb
tuur  kī  chheḌ  huī  hosh-rubā  varna  kalīm
koī  pahuñchā  bhī  to  thā  sho.ala-e-uryāñ  ke  qarīb
qadr-afzā.ī-e-māhaul-e-vatan  kyā  kahnā
daam  yūsuf  ke  bahut  aa  ga.e  kan.āñ  ke  qarīb
ab  to  'nātiq'  kā  bas  itnā  hī  patā  chaltā  hai
hai  kahīñ  ghar  se  bahut  duur  bayābāñ  ke  qarīb