Natiq Gulavthi

bhar pae jaan-e-zar teri dosti se hum

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969

bhar paa.e jān-e-zār tirī dostī se ham

jiite rahe to ab na mileñge kisī se ham

haiñ qāfile ke saath magar hai ravish judā

milte haiñ sab se aur nahīñ milte kisī se ham

zikr-e-sharāb-e-nāb pe vaa.iz ukhaḌ gayā

bole the achchhī baat bhale aadmī se ham

pāband-e-dair ho ke bhī bhūle nahīñ haiñ ghar

masjid meñ nikalte haiñ chorī chhupī se ham

duniyā badal ga.ī hai badal se ga.e haiñ kuchh

apnī ḳhushī badal ke tumhārī ḳhushī se ham

jaate kahāñ milā na phir apnā patā kahīñ

pahuñche to the bhaTak ga.e un galī se ham

'nātiq' hamī ko dil ne to kāfir banā diyā

ab kyā kaheñ ki haar ga.e bid.atī se ham

Top Urdushayar.com