ham  ne  kahne  ko  tumheñ  dil  se  bhulāyā  huā  hai
bas  yahī  daaġh  hai  siine  meñ  chhupāyā  huā  hai
ab  giregī  bhī  to  kaise  ki  bahut  sabr  ke  saath
ham  ne  dīvār  ko  hāthoñ  se  banāyā  huā  hai
baat  karne  ko  bahut  der  se  sochā  us  se
jis  kī  tahrīr  ko  āñkhoñ  meñ  basāyā  huā  hai
chashm-e-be-aib  meñ  us  kā  hī  sarāpā  kyuuñ  thā
jis  kā  ġham  hadd-e-tamannā  meñ  samāyā  huā  hai
ḳhvāhish-e-qurb  ke  paivand  haiñ  hāthoñ  meñ  mire
ai  junūñ-zād  mujhe  kitnā  satāyā  huā  hai
koī  kahtā  hai  rifāqat  nahīñ  milne  vaalī
koī  kahtā  hai  vo  dahlīz  pe  aayā  huā  hai
vasl  kī  shaam  kā  andāza  bahut  mushkil  thā
ham  ne  pūchhā  thā  magar  us  ne  chhupāyā  huā  hai