Ayub Khawar

tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil

Ayub Khawar

tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil
koī batā.e ab us kā kare to kyā kare dil
fusūn-e-jumbish-e-mizhgāñ na pūchhiye sar-e-rāh
pukārte hī rahe ham are are are dil
phir is ke ba.ad hameñ ye bhī to nahīñ rahā yaad
nazar girī hai kahāñ kho gayā kahāñ zar-e-dil
qadam qadam pe tirā ġham hai ḳhema-zan mirī jaañ
humak bhare bhī to āḳhir batā kahāñ bhare dil
ye kunj-e-lab ye ḳhumār-e-visāl apnī jagah
magar jo hijr musalsal bapā hai barsar-e-dil
ye tū jo mohr-ba-lab hai to kis liye 'ḳhāvar'
ye dekh kyā hai tah-e-dil hai aur kyā sar-e-dil
Top Urdushayar.com