durust  hai  ki  ye  din  rā.egāñ  nahīñ  guzre
magar  sukūñ  se  to  ai  jān-e-jāñ  nahīñ  guzre
mizāj-e-shahr-e-junūñ  ab  ye  barhamī  kaisī
kis  aag  se  tire  pīr-o-javāñ  nahīñ  guzre
nazar  se  duur  sahī  phir  bhī  kushtagān-e-vafā
vahāñ  se  kam  to  ye  sadme  yahāñ  nahīñ  guzre
muravvatan  vo  mirī  baat  pūchh  kar  chup  haiñ
vagarna  kab  mire  shikve  garāñ  nahīñ  guzre
samundaroñ  kī  havā  duur  duur  se  na  guzar
vahāñ  kā  haal  sunā  ham  jahāñ  nahīñ  guzre
hujūm-e-kār  jahāñ  ho  ki  dasht-e-jāñ  kā  sukūt
tire  firāq  ke  sadme  kahāñ  nahīñ  guzre
guzar  ga.e  vo  jo  jaañ  se  magar  ye  hasrat  hai
koī  'sabā'  se  ye  kah  de  miyāñ  nahīñ  guzre