pyāre  pyāre  yugoñ  meñ  aa.e  pyāre  pyāre  log
is  bechāre  daur  meñ  janme  ham  bechāre  log
har  chehre  par  khiñchī  huī  haiñ  thakan  kī  rekhā.eñ
jiit  kā  ik  pal  khoj  rahe  haiñ  haare  haare  log
bhor  bha.ī  phir  sāñjh  bha.ī  phir  bhor  bha.ī  phir  sāñjh
samay  chakkar  meñ  bañdhe  hue  haiñ  sāñjh  sakāre  log
aatī  hai  itihās  se  un  ke  bhāñt  bhāñt  kī  baas
har  miTTī  ko  sūñgh  chuke  haiñ  ye  banjāre  log
had-bandī  kī  rekhā  toḌeñ  aao  gale  lag  jaa.eñ
idhar  tumhāre  log  khaḌe  haiñ  udhar  hamāre  log
is  sāvan  meñ  har  āñgan  meñ  dukhoñ  kī  hai  barsāt
ab  ke  koī  bach  nahīñ  paayā  bhīge  saare  log