us  kī  shabāhat  kisī  shams-o-qamar  meñ  nahīñ
ek  use  dekh  kar  koī  nazar  meñ  nahīñ
qāsid  zohra  maqām  kah  use  merā  salām
jis  kā  nasheman  mirī  rāhguzar  meñ  nahīñ
kyā  kashish  jazb-e-dil  tujh  meñ  kamī  hai  ki  vo
mehvar-e-sayyārgāñ  tere  asar  meñ  nahīñ
chashm-e-sitārā-shumār  kushta-sadā  intizār
diid  kī  koī  naved  najm-e-sahar  meñ  nahīñ
ham  jo  dikhāte  nahīñ  lāla-o-gul  kī  tarah
ye  na  samajhnā  koī  daaġh  jigar  meñ  nahīñ
sabz  qabā-e-chaman  sirf  fareb-e-nazar
aas  kī  koñpal  kisī  shāḳh-e-shajar  meñ  nahīñ
ek  tujhī  ko  'sabā'  kyuuñ  hai  thakan  kā  gilā
mauja-e-gul  aur  havā  kaun  safar  meñ  nahīñ