ba-zāhir  raunaqoñ  meñ  bazm-ārā.ī  meñ  jiite  haiñ
haqīqat  hai  ki  ham  tanhā  haiñ  tanhā.ī  meñ  jiite  haiñ
sajā  kar  chār-sū  rañgīñ  mahal  tere  ḳhayāloñ  ke
tirī  yādoñ  kī  ra.anā.ī  meñ  zebā.ī  meñ  jiite  haiñ
ḳhushā  ham  imtihān-e-dasht-gardī  ke  natīje  meñ
ba-sad-e.ajāz  mashq-e-ābla-pā.ī  meñ  jiite  haiñ
sitam-gāroñ  ne  ā.īn-e-vafā  mansūḳh  kar  Daalā
magar  kuchh  log  abhī  ummīd-e-hijrāī  meñ  jiite  haiñ