Sabiha Saba

ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de

Sabiha Saba

ye sail-e-ashk mujhe guftugū kī taab to de
jo ye kahūñ ki vafā kā mirī hisāb to de
bharī bahār-rutoñ meñ bhī ḳhaar le aa.ī
ye intizār kī Tahnī kabhī gulāb to de
nahīñ nahīñ maiñ vafā se kināra-kash to nahīñ
vo de rahā hai mujhe hijr kā azaab to de
ye ḳhāmushī to qayāmat kī jaan levā hai
vo dil dukhā.e magar baat kā javāb to de
har ek vāqi.a tārīḳh-dār likh jā.ūñ
ga.e dinoñ kī mire haath vo kitāb to de
ye dekh kis gul-e-tar par nigāh Thahrī hai
na de vo phuul mujhe dād-e-intiḳhāb to de
gunāhgār sahī phir bhī mere hisse kā
tirī taraf jo nikaltā hai vo savāb to de
Top Urdushayar.com