ye  sail-e-ashk  mujhe  guftugū  kī  taab  to  de
jo  ye  kahūñ  ki  vafā  kā  mirī  hisāb  to  de
bharī  bahār-rutoñ  meñ  bhī  ḳhaar  le  aa.ī
ye  intizār  kī  Tahnī  kabhī  gulāb  to  de
nahīñ  nahīñ  maiñ  vafā  se  kināra-kash  to  nahīñ
vo  de  rahā  hai  mujhe  hijr  kā  azaab  to  de
ye  ḳhāmushī  to  qayāmat  kī  jaan  levā  hai
vo  dil  dukhā.e  magar  baat  kā  javāb  to  de
har  ek  vāqi.a  tārīḳh-dār  likh  jā.ūñ
ga.e  dinoñ  kī  mire  haath  vo  kitāb  to  de
ye  dekh  kis  gul-e-tar  par  nigāh  Thahrī  hai
na  de  vo  phuul  mujhe  dād-e-intiḳhāb  to  de
gunāhgār  sahī  phir  bhī  mere  hisse  kā
tirī  taraf  jo  nikaltā  hai  vo  savāb  to  de