gahrā.iyoñ  se  mujh  ko  kisī  ne  nikāl  ke
pheñkā  hai  āsmān  kī  jānib  uchhāl  ke
maiñ  ne  zamīñ  ko  naap  liyā  āsmān  tak
nazroñ  meñ  fāsle  haiñ  urūj-o-zavāl  ke
chehre  har  ik  se  pūchh  rahe  haiñ  koī  javāb
sho.aloñ  pe  kuchh  nishān  lage  haiñ  savāl  ke
log  meñ  ab  vo  charb-zabānī  nahīñ  rahī
yā  hijr  meñ  udaas  haiñ  qisse  visāl  ke
har  shaḳhs  se  milā  huuñ  baḌī  ehtiyāt  se
har  shaḳhsiyyat  ko  maiñ  ne  paḌhā  hai  sambhāl  ke
ab  shā.irī  se  sirf  hai  lafzoñ  kā  vāsta
rishte  tamām  ho  ga.e  fikr-o-ḳhayāl  ke