dard  Thahre  to  zarā  dil  se  koī  baat  kareñ
muntazir  haiñ  ki  ham  apne  se  mulāqāt  kareñ
din  to  āvāzoñ  ke  sahrā  meñ  guzārā  lekin
ab  hameñ  fikr  ye  hai  ḳhatm  kahāñ  raat  kareñ
merī  tasvīr  adhūrī  hai  abhī  kyā  mālūm
kyā  mirī  shakl  bigaḌte  hue  hālāt  kareñ
aur  ik  taaza  ta.āruf  kā  bahāna  DhūñDeñ
un  se  kuchh  un  ke  hī  baare  meñ  savālāt  kareñ
aao  do-chār  ghaḌī  baiTh  ke  ik  goshe  meñ
kisī  mauzūa  pe  iz.hār-e-ḳhayālāt  kareñ