Humaira Rahman

dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai

Humaira Rahman

1957

dil ko darūn-e-ḳhvāb mausam bojhal rakhtā hai

ik anjāne ḳhauf se vāqif har pal rakhtā hai

vo jo ba-zāhir har zarra hai tez havāoñ meñ

apne hone ehsās mukammal rakhtā hai

tark-e-ta.alluq ne merī bhī soch ko badlā nahīñ

vo bhī shikāyat apne saath musalsal rakhtā hai

registān paudā huuñ maiñ aur bahut sairāb

apnā ruup ravayya mujh par bādal rakhtā hai

kañkar pheñk rahe haiñ ye andāza karne ko

Thahrā paanī kitnī 'humairā' halchal rakhtā hai

Top Urdushayar.com