bujhtī  āñkhoñ  kī  raushnī  to  dekh
chashm  meñ  tairtī  namī  to  dekh
aa  kabhī  tū  qarīb  aa  mere
zīst-o-jāñ  meñ  tirī  kamī  to  dekh
raat  bhar  jāgtī  hai  kyuuñ  ye  shab
jāgtī  shab  kī  bekalī  to  dekh
umr  bhar  pāniyoñ  ne  likkhī  pyaas
pāniyoñ  kī  ye  tishnagī  to  dekh
saath  rah  kar  bhī  duur  duur  hai  tū
zindagī  kī  ye  dil-lagī  to  dekh
maiñ  jo  ab  roz  roz  dekhtā  huuñ
vo  tamāshā  tū  do  ghaḌī  to  dekh
hijr  ke  zalzale  haiñ  utre  hue
ḳhud-kushī  kartī  vo  nadī  to  dekh