Manzoor Ahmad Manzoor

madd-e-nazar nahin hai faqat mehrban ki KHair

Manzoor Ahmad Manzoor

madd-e-nazar nahīñ hai faqat mehrbāñ ḳhair

shāmil mirī duā meñ dil-e-dushmanāñ ḳhair

fursat mile to apnī zamīñ ḳhabar bhī le

ai rabb-e-zul-jalāl tire āsmāñ ḳhair

josh-e-junūñ meñ pesh-e-nazar maslahat bhī thī

sajde kiye haiñ maañg ke us āstāñ ḳhair

har ins-o-jāñ ne aañkh kaḌe vaqt pher

ham the ki māñgte rahe har ins-o-jāñ ḳhair

yaḳh-bār sard-mehrī-e-insāñ se kā.enāt

is arz-e-zamharīr meñ qalb-e-tapāñ ḳhair

insāñ haath un taraf bhī darāz hai

pākīzgī-e-husn-e-mah-o-kahkashāñ ḳhair

TuuTā hai dil jarāhat-e-chāra-garāñ shukr

TuuTā hai jaam niyyat-e-shīsha-garāñ ḳhair

ye shāḳh-e-sar-barahna ye jhakkaḌ ye raqs-e-barq

'manzūr' ḳhair ḳhair tire āshiyāñ ḳhair

Top Urdushayar.com