vo  aks  mujh  meñ  junūñ-sāz  raqs  karne  lagā
maiñ  aa.ine  kī  tarah  TūTne  bikharne  lagā
shab-e-alam  hai  sitāroñ  se  ham-kalāmī  hai
isī  bahāne  safar  ḳhair  se  guzarne  lagā
maiñ  tum  se  duur  huā  huuñ  to  maslahat  hai  koī
ye  mat  samajhnā  ki  mil  ke  nasha  utarne  lagā
nahīñ  rahī  tire  naqsh-e-qadam  kī  baas  yahāñ
ye  rāsta  tirī  yādoñ  se  ab  sañvarne  lagā