kin  dushmanoñ  kā  tiir  banāyā  gayā  huuñ  maiñ
apne  hī  jism-o-jāñ  meñ  utārā  gayā  huuñ  maiñ
jo  sab  se  kaT  chukā  huuñ  to  hairat  kī  baat  kyā
ab  apne  saath  bhī  kahāñ  paayā  gayā  huuñ  maiñ
ik  umr  tak  to  maiñ  bhī  zamāne  ke  saath  thā
kuchh  baat  hai  jo  lauT  ke  ghar  aa  gayā  huuñ  maiñ
vo  māh-vash  sunā  hai  ki  guzregā  is  taraf
ik  kahkashāñ  sī  raah  meñ  bikhrā  gayā  huuñ  maiñ
ḳhud  apne-āp  se  bhī  kahāñ  thā  maiñ  mutma.in
ab  jo  zamāne  tujh  ko  bhī  raas  aa  gayā  huuñ  maiñ
ik  sāneha  sā  dafn  huuñ  lekin  kabhī  kabhī
sadiyoñ  kī  qabr  se  bhī  uThāyā  gayā  huuñ  maiñ
ab  kis  tarah  maiñ  apne  laboñ  ko  sameT  luuñ
kin  āñdhiyoñ  kī  zad  pe  chalāyā  gayā  huuñ  maiñ