ta.alluqāt-e-vafā  meñ  jo  sard  ab  tak  hai
ka.ī  mahāz  pe  garm-e-nabard  ab  tak  hai
agarche  shahr  ke  hālāt  pur-sukūn  bhī  haiñ
har  ek  chehra  magar  zard  zard  ab  tak  hai
bhaḌak  uThe  to  zamāne  kī  ḳhair  nā-mumkin
vahī  jo  aag  sī  siine  meñ  sard  ab  tak  hai
tumhārī  baat  se  vo  sañg-dil  pighaltā  kyā
tumhārā  dil  bhī  to  mahrūm-e-dard  ab  tak  hai
vo  ek  ḳhvāb  ki  ta.abīr  pā  sakā  na  abhī
vo  ik  ḳhayāl  ki  sahrā-navard  ab  tak  hai
havā  ne  kaun  se  ḳhvāboñ  se  dil  lagāyā  thā
hamārī  tarah  jo  āvāra-gard  ab  tak  hai