har  ghaḌī  har  lamha  uThte  pattharoñ  ke  saath  maiñ
TuuTe  TuuTe  kitne  shīshoñ  ke  gharoñ  ke  saath  maiñ
āñdhiyoñ  ke  dosh  par  sham.eñ  jalātā  roz  o  shab
qahr  meñ  biphrī  havā  ke  lashkaroñ  ke  saath  maiñ
sabza-zāroñ  kī  tamannā  mujh  meñ  sargarm-e-safar  safar
chilchilātī  dhuup  ke  nāma-baroñ  ke  saath  maiñ
rafta  rafta  shaam  ke  nā-mehrbāñ  sailāb  meñ
Dūbtā  sā  ujle  ujle  se  paroñ  ke  saath  maiñ
maiñ  bhaTaktī  ummatoñ  kā  ek  dard-e-mushtarak
har  zamāne  meñ  rahā  paiġhambaroñ  ke  saath  maiñ
dā.era-dar-dā.era  chāroñ  taraf  bikhrā  huā
ek  samundar  meñ  sadā  ke  kañkaroñ  ke  saath  maiñ
tū  na  jaane  kin  añdheroñ  meñ  chhupī  baiThī  huī
rāsta  chuntā  huā  kitne  Daroñ  ke  saath  maiñ