aks  āñkhoñ  meñ  be-dhiyānī  kā  thā
yā  sabab  dil  kī  bad-gumānī  kā  thā
bujhtā  bujhtā  hubāb  paanī  kā  thā
lamha  lamha  maiñ  zindagānī  kā  thā
kuchh  tabī.at  bhī  zor  par  thī  mirī
kuchh  taqāzā  bhī  naujavānī  kā  thā
maiñ  thā  kāmil  nazar-shanāsī  meñ
zo.am  us  ko  mizāj-dānī  kā  thā
thā  jo  khaTkā  sā  har  ghaḌī  dil  meñ
uzr  bas  us  kī  pāsbānī  kā  thā
ik  na.ī  tarah  be-niyāzī  kī  thī
ik  nayā  taur  mehrbānī  kā  thā
ek  rasta  har  ek  bastī  kā  thā
ek  unvān  har  kahānī  kā  thā
Dūbtī  ik  sadā  sī  lahr  meñ  thī
jāgtā  shor  sā  ravānī  kā  thā
zad  pe  aate  hī  khul  gayā  hai  'imām'
jo  bharam  us  kī  bādbānī  kā  thā