tū  agar  abr  hai  maiñ  abr  meñ  paanī  kī  tarah
maiñ  tire  saath  huuñ  lafzoñ  meñ  ma.ānī  kī  tarah
nafsī-nafsī  kā  ye  aalam  hai  ki  aate  jaate
tum  mile  bhī  to  qayāmat  kī  nishānī  kī  tarah
yuuñ  hī  ik  roz  guzar  jā.ūñgā  rāhoñ  se  tirī
maiñ  bhī  bahtī  huī  nadiyoñ  kī  ravānī  kī  tarah
dekh  kar  tujh  ko  kaleje  meñ  kasak  uThtī  hai
dhaj  tirī  hai  mirī  āshufta-bayānī  kī  tarah
nā-murādī  meñ  tū  ai  dasht  akelā  hī  nahīñ
maiñ  bhī  pyāsā  huuñ  tirī  tishna-dahānī  kī  tarah
aaj  sun  lo  mirī  bāteñ  ki  abhī  zinda  huuñ
kal  sunā  jā.ūñgā  mahfil  meñ  kahānī  kī  tarah