karb  vahshat  uljhaneñ  aur  itnī  tanhā.ī  ki  bas
jaane  kyuuñ  taqdīr  ne  lī  aisī  añgḌā.ī  ki  bas
jab  kabhī  bhūle  se  bhī  ā.īna  dekhā  tere  ba.ad
apnī  hī  sūrat  meñ  vo  sūrat  nazar  aa.ī  ki  bas
toḌne  jab  bhī  chalā  zindān-e-āb-o-gil  ko  maiñ
jānī-pahchānī  huī  āvāz  ik  aa.ī  ki  bas
chilchilātī  dhuup  ġham  kī  hādsoñ  ke  sā.ebāñ
soch  kā  taptā  ye  sahrā  aur  ye  purvā.ī  ki  bas
kaash  nā-bīnā  hī  rahtā  is  muqār-ḳhāna  meñ
tohfatan  duniyā  ne  dī  hai  aisī  bīnā.ī  ki  bas
nochtī  kab  tak  raheñgī  yuuñ  barahna  ḳhvāhisheñ
tā-ba-kai  hotī  rahegī  aisī  rusvā.ī  ki  bas
maiñ  huuñ  ai  'hamdūn'  ik  zinda  giraftār-e-lahad
apnī  hī  taqdīr  se  Thokar  vo  hai  khaa.ī  ki  bas