sāñsoñ  ko  karb  ziist  ġham-e-be-panāh  ko
kis  kis  ko  mutma.in  maiñ  karūñ  ḳhvāh-maḳhvāh  ko
sūraj  ke  paar  dekh  sako  gar  mirī  tarah
tab  jā  ke  pāoge  mirī  hadd-e-nigāh  ko
maiñ  is  fareb-gah  meñ  vo  ādam-gazīda  huuñ
DhūñDe  hai  jo  añdheroñ  meñ  jā-e-panāh  ko
apnā  na  maiñ  huā  to  bhalā  kaun  hai  mirā
apnā.e  kyuuñ  koī  kisī  gum-karda-rāh  ko
maiñ  hādsoñ  kī  bhiiḌ  meñ  tanhā  khaḌā  huā
āvāz  de  rahā  huuñ  kisī  ḳhair-ḳhvāh  ko
saaya  bhī  ham-qadam  na  mirā  ho  isī  liye
ḳhātir  meñ  laayā  maiñ  na  kisī  intibāh  ko