Afzal Naved

rah-e-suluk mein bal Dalne pe rahta hai

Afzal Naved

Punjab, India

rah-e-sulūk meñ bal Dālne pe rahtā hai
lahū kā khel ḳhalal Dālne pe rahtā hai
ye dekhtā nahīñ buniyād meñ haiñ haDDiyāñ kyā
har ek apnā mahal Dālne pe rahtā hai
muhim pe roz nikaltā hai tājir-e-bārūd
aur ek ḳhauf-e-ajal Dālne pe rahtā hai
aur ek haath milātā hai zahr paanī meñ
aur ek haath kañval Dālne pe rahtā hai
aur ek haath khilātā hai shāḳh par koñpal
aur ek haath masal Dālne pe rahtā hai
aur ek haath uThātā hai parcham-e-āvāz
aur ek haath kuchal Dālne pe rahtā hai
aur ek haath baḌhātā hai irtiqā kā sarūp
aur ek haath badal Dālne pe rahtā hai
sab ek radd-e-amal kā amal hai aur nahīñ
jo ek radd-e-amal Dālne pe rahtā hai
rujūa lā-mutazalzal hai jo masā.il kā
dimāġh meñ koī hal Dālne pe rahtā hai
ham apnā radd-o-badal Daal dete haiñ us meñ
vo apnā radd-o-badal Dālne pe rahtā hai
miyān-e-sābit-o-sayyār irtikāz mirā
abad ke biich azal Dālne pe rahtā hai
ye sub.h-o-shām pe phailā huā mirā honā
ye mere aaj meñ kal Dālne pe rahtā hai
har ek rāhguzar se guzartā hai sūraj
aur ik shuā-e-aTal Dālne pe rahtā hai
pasand aate nahīñ sīdhe-sādhe log use
vo apne māthe pe bil Dālne pe rahtā hai
ravish koī bhī ziyāda use nahīñ bhātī
vo apnā aap badal Dālne pe rahtā hai
'naved' tā.ir-e-lāhautī kā junūñ to nahīñ
jo Daal Daal pe phal Dālne pe rahtā hai
Top Urdushayar.com