rah-e-sulūk  meñ  bal  Dālne  pe  rahtā  hai
lahū  kā  khel  ḳhalal  Dālne  pe  rahtā  hai
ye  dekhtā  nahīñ  buniyād  meñ  haiñ  haDDiyāñ  kyā
har  ek  apnā  mahal  Dālne  pe  rahtā  hai
muhim  pe  roz  nikaltā  hai  tājir-e-bārūd
aur  ek  ḳhauf-e-ajal  Dālne  pe  rahtā  hai
aur  ek  haath  milātā  hai  zahr  paanī  meñ
aur  ek  haath  kañval  Dālne  pe  rahtā  hai
aur  ek  haath  khilātā  hai  shāḳh  par  koñpal
aur  ek  haath  masal  Dālne  pe  rahtā  hai
aur  ek  haath  uThātā  hai  parcham-e-āvāz
aur  ek  haath  kuchal  Dālne  pe  rahtā  hai
aur  ek  haath  baḌhātā  hai  irtiqā  kā  sarūp
aur  ek  haath  badal  Dālne  pe  rahtā  hai
sab  ek  radd-e-amal  kā  amal  hai  aur  nahīñ
jo  ek  radd-e-amal  Dālne  pe  rahtā  hai
rujūa  lā-mutazalzal  hai  jo  masā.il  kā
dimāġh  meñ  koī  hal  Dālne  pe  rahtā  hai
ham  apnā  radd-o-badal  Daal  dete  haiñ  us  meñ
vo  apnā  radd-o-badal  Dālne  pe  rahtā  hai
miyān-e-sābit-o-sayyār  irtikāz  mirā
abad  ke  biich  azal  Dālne  pe  rahtā  hai
ye  sub.h-o-shām  pe  phailā  huā  mirā  honā
ye  mere  aaj  meñ  kal  Dālne  pe  rahtā  hai
har  ek  rāhguzar  se  guzartā  hai  sūraj
aur  ik  shuā-e-aTal  Dālne  pe  rahtā  hai
pasand  aate  nahīñ  sīdhe-sādhe  log  use
vo  apne  māthe  pe  bil  Dālne  pe  rahtā  hai
ravish  koī  bhī  ziyāda  use  nahīñ  bhātī
vo  apnā  aap  badal  Dālne  pe  rahtā  hai
'naved'  tā.ir-e-lāhautī  kā  junūñ  to  nahīñ
jo  Daal  Daal  pe  phal  Dālne  pe  rahtā  hai