ik  dhan  ko  ek  dhan  se  alag  kar  luuñ  aur  gā.ūñ
sāñsoñ  kā  ik  charāġh  kahīñ  dhar  luuñ  aur  gā.ūñ
gandhār  kī  shuā  chunūñ  phir  shuāoñ  se
yāqūt  sat.h-e-sañg  se  chun  kar  luuñ  aur  gā.ūñ
sar-chashma-e-vajūd  ko  hargiz  na  chheḌūñ  maiñ
koyal  se  ik  irāda-e-tevar  luuñ  aur  gā.ūñ
bheroñ  meñ  din  nikaltā  dikhā.ūñ  maiñ  dahr  ko
aur  sub.h  tak  charāġhoñ  kī  lo  kar  luuñ  aur  gā.ūñ
aur  phail  jā.ūñ  chāroñ  taraf  bāzgasht  sā
lab  par  tirā  vazīfa-e-azbar  luuñ  aur  gā.ūñ
aur  dasht  mere  saath  rahe  bahtā  megh  meñ
bārish  meñ  apne  vāste  ik  ghar  luuñ  aur  gā.ūñ
koyal  pukārtī  rahe  jāmun  ke  peḌ  par
man  meñ  kisī  nafas  kā  subū  bhar  luuñ  aur  gā.ūñ
kalyān  ke  ujāle  meñ  phirtī  hai  shab  kahīñ
maiñ  shaam  hī  se  kāñdhe  pe  chādar  luuñ  aur  gā.ūñ
aa  jā.ūñ  apnī  gardish-e-sayyārgāñ  ko  maiñ
chakkar  pe  ek  dūsrā  chakkar  luuñ  aur  gā.ūñ
ye  vaqt  hai  bahā.e  hue  kā.enāt  ko
naddī  kī  lahroñ  se  koī  jhālar  luuñ  aur  gā.ūñ
rahtī  hai  bas-ki  raakh  zamānoñ  kī  taaq  par
maiñ  bhī  charāġh-e-hijr  kā  chakkar  luuñ  aur  gā.ūñ
jalne  lage  jo  shahr  to  saarā  uñDel  duuñ
jā  kar  kisī  kināre  se  phir  bhar  luuñ  aur  gā.ūñ
āñgan  meñ  jāgte  haiñ  gul-o-lāla  raat  bhar
maiñ  bhī  kisī  ke  kāñToñ  kā  bistar  luuñ  aur  gā.ūñ
āvāz  chaknā-chūr  ho  shor-e-lahad  ke  biich
sañg-e-mazār  se  koī  Thokar  luuñ  aur  gā.ūñ
milnā  kisī  se  raḳhna-e-āvārgī  to  hai
mil  kar  kisī  se  dūsrā  mehvar  luuñ  aur  gā.ūñ
ruḳhsat  ke  vaqt  TuuT  gayā  jo  pahāḌ  thā
siine  meñ  tere  paañv  ke  kañkar  luuñ  aur  gā.ūñ
lagne  lagā  hujūm-e-shar-angezī  har  taraf
yaksūī-e-ḳhumār  ko  hī  sar  luuñ  aur  gā.ūñ
jo  jo  parinda  baiThā  huā  thā  so  uḌ  gayā
pahlū  meñ  apnā  ḳhālī  sā  pinjar  luuñ  aur  gā.ūñ
din  raat  meñ  baḌe  baḌe  aate  haiñ  inqalāb
lekin  maiñ  terā  naam  barābar  luuñ  aur  gā.ūñ
jhukne  lagī  hai  qaus-e-quzah  sub.h-dam  'naved'
ye  Tokarī  gulāb  kī  sar  par  luuñ  aur  gā.ūñ