Afzal Naved

dasht tarik tha aur KHwab tha kala mera

Afzal Naved

Punjab, India

dasht tārīk thā aur ḳhvāb thā kaalā merā

raushnī detā rahā kaan baalā merā

kāTnā thā mujhe koh-e-shab-e-ġhurbat lekin

TuuT kar girtā rahā raah meñ bhālā merā

tujh ko ma.alūm na thī chāk-garebānī mirī

ne is dasht meñ kyoñ naam nikālā merā

ātishīñ rakhtī hai yaañ garmī-e-raftār mujhe

huuñ mah-e-ḳhāk-nashīñ gard hai haalā merā

lā-makāñ ne mujhe pheñkā hai makāñ had meñ

kis se paḌtā hai yahāñ dekhiye paalā merā

manzil-e-ishq na ḳhāk-e-shab-e-hijrāñ meñ milī

jāda-e-rañj meñ khiñchtā rahā naala merā

dast-e-shaffāf pe likhtā hai mirā naam koī

shāḳh-e-sarsabz pe khultā hai ujālā merā

mujh ko gar kār-e-mohabbat meñ zarā der huī

aa gayā karne koī aur izāla merā

paar kar jaa.e ye shāyad kisī din jū-e-ḳhāk

jism ko chāhiye kuchh aur sambhālā merā

shahr-e-maujūd dhuāñ hai mire bujhne se 'naved'

shahr-e-nābūd meñ rahtā hai ujālā merā

Top Urdushayar.com