makān-e-ḳhvāb  meñ  jañgal  kī  baas  rahne  lagī
koī  na  aayā  to  zīnoñ  pe  ghaas  rahne  lagī
tire  vajūd  kā  jab  se  libās  rahne  lagī
liye  diye  hue  mujh  se  kapās  rahne  lagī
ye  aur  baat  anokhī  sī  pyaas  rahne  lagī
mirī  zabān  pe  us  kī  miThās  rahne  lagī
jhalak  thī  yā  koī  ḳhushbū-e-ḳhadd-o-ḳhāl  thī  vo
chalī  ga.ī  to  mire  aas  paas  rahne  lagī
gayā  hujūm  liye  bāz-dīd  naqsh-e-qadam
havā-e-rāhguzar  bad-havās  rahne  lagī
zarā.e  jo  the  mayassar  hue  ġhubār-e-shanāḳht
darūñ  se  chashm-e-darūñ  nā-shanās  rahne  lagī
abhī  ġhubār  na  utrā  thā  saañs  kā  andar
utarne  kī  pas-e-zindāñ  bhaḌās  rahne  lagī
utaar  pheñk  diyā  jo  thā  jism-e-bosīda
sitāroñ  kī  koī  utran  libās  rahne  lagī
zyāda  zor  lagāne  se  kuchh  na  ho  saktā
so  aa.e  roz  kī  halchal  hī  raas  rahne  lagī
lahad  ne  dāman-e-yaḳh-basta  khol  kar  rakkhā
badan  meñ  garmī-e-ḳhauf-o-hirās  rahne  lagī
na  jaane  andhe  kuoñ  kī  vo  tishnagī  thī  kyā
har  ek  aañkh  meñ  jo  be-libās  rahne  lagī
bigāḌ  jis  se  ho  paidā  koī  bigāḌ  nahīñ
so  mo.ajize  kī  mire  dil  ko  aas  rahne  lagī
muġhā.irat  se  bharī  tīrgī  ke  biich  'naved'
ik  andarūnī  ramaq  rū-shanās  rahne  lagī