ḳhālī  huā  gilās  nasha  sar  meñ  aa  gayā
dariyā  utar  gayā  to  samundar  meñ  aa  gayā
yakjā.ī  kā  tilism  rahā  taarī  TuuT  kar
vo  sāmne  se  haT  ke  barābar  meñ  aa  gayā
jā  kar  jahāñ  pe  rakkhā  thā  honā  kiyā  durust
itnā  sā  kaam  kar  ke  maiñ  pal  bhar  meñ  aa  gayā
lekin  baḌā.ī  kā  koī  ehsās  kab  rahā
chakkar  thā  duniyā-dārī  kā  chakkar  meñ  aa  gayā
aa  jā  ke  munhasir  rahā  nigarānī  par  tamām
aksar  se  jā  rahā  kabhī  aksar  meñ  aa  gayā
yak  gosha-e-vajūd  meñ  rakkhā  qayām  kuchh
bāhar  baḌā  fasād  thā  so  ghar  meñ  aa  gayā
TuuTā  kahīñ  se  aur  girā  sahn  meñ  mire
saarā  parinda  yuuñ  lagā  is  par  meñ  aa  gayā
āvāz  dūñgā  saath  mire  aa  sako  to  aao
thoḌā  jo  aur  hālat-e-behtar  meñ  aa  gayā
duniyā  ke  ḳhvāb  dekhte  guzrā  tamām  roz
uThte  hī  ḳhvāb-e-asl  se  daftar  meñ  aa  gayā
jāgūñgā  jab  sadā-e-ulūhī  sunūñgā  kuchh
jānūñgā  jab  parinda  sanobar  meñ  aa  gayā
shāyad  nazāre  kī  yahī  be-hayyatī  rahī
manzar  se  jaane  par  koī  manzar  meñ  aa  gayā
hilnā  paḌe  na  taaki  kisī  rañj  par  mujhe
saare  kā  saarā  maiñ  kisī  patthar  meñ  aa  gayā
ḳhud  ko  qayām  karne  pe  tarġhīb  dūñgā  maiñ
koī  jo  ism  kal  mire  mantar  meñ  aa  gayā
be-martaba  bhī  saañs  kā  lenā  girāñ  na  thā
taqdīs  kā  ḳhayāl  muqaddar  meñ  aa  gayā
bāzār  meñ  nigāh  na  dil  par  paḌī  tirī
nāyāb  jins-e-dahr  thā  vāfar  meñ  aa  gayā
sayyārgāñ  to  apnī  ravish  par  the  gāmzan
lekin  'naved'  tū  kahāñ  chakkar  meñ  aa  gayā