Afzal Naved

jang se jangal bana jangal se main nikla nahin

Afzal Naved

Punjab, India

jañg se jañgal banā jañgal se maiñ niklā nahīñ
ho gayā ojhal magar ojhal se maiñ niklā nahīñ
da.avat-e-uftād rakkhī chhal se maiñ niklā nahīñ
nikle bhī kas-bal magar kas-bal se maiñ niklā nahīñ
dekhte rahnā tirā mas.hūr chhat par kar gayā
is qadar bārish huī jal-thal se maiñ niklā nahīñ
jaise tū hī to ho merī niiñd se lipTā huā
jaise tere ḳhvāb ke maḳhmal se maiñ niklā nahīñ
dekhne vāloñ ko shahr-e-ḳhvāb sā dikhtā huuñ maiñ
jaise tere surma.ī bādal se maiñ niklā nahīñ
dekh sūraj aa gayā sar par mujhe āvāz de
phuul sā ab tak tirī koñpal se maiñ niklā nahīñ
shab jo aiman raag meñ Duubī sahar thī bhairavī
tevarī chaḌhtī rahī komal se maiñ niklā nahīñ
terā pallū ek jhaTke se gayā go haath se
aañch lipTī hai ki juuñ āñchal se maiñ niklā nahīñ
apne markaz kī mahak chāroñ taraf bikhrā.ī hai
phaḌphaḌā kar bhī tire sandal se maiñ niklā nahīñ
tab.a kī pechīdgī shāyad mirī pahchān ho
yuuñ na ho ho mustaqil jis bal se maiñ niklā nahīñ
naam likkhā thā mirā maiñ ne to apnānā hī thā
ek lamhe ke liye bhī pul se maiñ niklā nahīñ
yuuñ lagā jaise kabhī maiñ dahr kā hissa na thā
baat itnī hai ki bāhar kal se maiñ niklā nahīñ
hausle jaise Dubo Daale haiñ is pardes ne
rīchh niklā naddī se kambal se maiñ niklā nahīñ
maiñ ne koī aatmā an-chāhī aane hī na dī
kaise kah duuñ apnī hī daldal se maiñ niklā nahīñ
is ke hote ek shab raushan huā jal par 'naved'
chal diyā vo to kabhī kā jal se maiñ niklā nahīñ
Top Urdushayar.com