sāmne  āñkhoñ  ke  ghar  kā  ghar  bane  aur  TuuT  jaa.e
kyā  kare  vo  jis  kā  dil  patthar  bane  aur  TuuT  jaa.e
haa.e  re  un  ke  fareb-e-vāda-e-fardā  kā  jaal
dekhte  hī  dekhte  ik  dar  bane  aur  TuuT  jaa.e
hādsoñ  kī  Thokaroñ  se  chuur  honā  hai  to  phir
kyuuñ  na  ḳhāmoshī  se  dil  sāġhar  bane  aur  TuuT  jaa.e
ham  bhī  le  leñ  lutf-e-tīr-e-nīm-kash  gar  vo  nazar
aate  aate  qalb  tak  ḳhanjar  bane  aur  TuuT  jaa.e
un  ke  dāman  kī  havā  bhī  kis  ko  hotī  hai  nasīb
aaj  har  aañsū  mirā  gauhar  bane  aur  TuuT  jaa.e
yuuñ  bikhartā  hī  rahā  ai  'tarz'  har  sapnā  mirā
sub.h  jaise  ḳhvāb  kā  manzar  bane  aur  TuuT  jaa.e