jism  to  miTTī  meñ  miltā  hai  yahīñ  marne  ke  baad
us  ko  kyā  ro.eñ  jo  martā  hī  nahīñ  marne  ke  baad
farz  par  qurbān  hone  kā  ik  apnā  husn  hai
aur  ho  jaatā  hai  kuchh  insāñ  hasīñ  marne  ke  baad
ik  yahī  ġham  khaa.e  jaatā  hai  ki  us  kā  hogā  kyā
kaun  rakkhegā  mirā  husn-e-yaqīñ  marne  ke  baad
ye  mahal  ye  maal  o  daulat  sab  yahīñ  rah  jā.eñge
haath  aa.egī  faqat  do  gaz  zamīñ  marne  ke  baad
zindagī  tak  ke  haiñ  rishte  zindagī  tak  hai  bahār
tum  kahīñ  ai  'tarz'  hoge  vo  kahīñ  marne  ke  baad