dostī  apnī  jagah  aur  dushmanī  apnī  jagah
farz  ke  anjām  dene  kī  ḳhushī  apnī  jagah
ham  to  sargarm-e-safar  haiñ  aur  raheñge  umr  bhar
manzileñ  apnī  jagah  āvārgī  apnī  jagah
pattharoñ  ke  des  meñ  shīshe  kā  hai  apnā  vaqār
devtā  apnī  jagah  aur  aadmī  apnī  jagah
gyaan  maanā  hai  baḌā  bhaktī  bhī  lekin  kam  nahīñ
āgahī  apnī  jagah  dīvāngī  apnī  jagah
sub.h  haiñ  sajde  meñ  ham  to  shaam  saaqī  ke  huzūr
bandagī  apnī  jagah  aur  mai-kashī  apnī  jagah
saarā  aalam  hai  tarannum-ḳhez  ai  shā.ir-navāz
sher  kī  apnī  jagah  aur  'tarz'  kī  apnī  jagah