māhaul  sāzgār  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
zikr-e-nigāh-e-yār  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
ai  gardisho  tumheñ  zarā  tāḳhīr  ho  ga.ī
ab  merā  intizār  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
maiñ  tum  ko  chāhtā  huuñ  tumhīñ  par  nigāh  hai
aise  meñ  e'tibār  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
aisā  na  ho  ki  saḳht  kā  ho  saḳht-tar  javāb
yaaro  sambhal  ke  vaar  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
ab  maiñ  hudūd-e-hosh-o-ḳhirad  se  guzar  gayā
Thukrāo  chāhe  pyaar  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
ḳhud  'tarz'  jo  hijāb  meñ  ho  us  se  kyā  hijāb
mujh  se  nigāheñ  chaar  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ