rah-e-ishq  meñ  ġham-e-zindagī  kī  bhī  zindagī  safarī  rahī
kabhī  nazr-e-ḳhāk-e-safar  rahī  kabhī  motiyoñ  se  bharī  rahī
tirī  ik  nigāh  se  sāqiyā  vo  bahār-e-be-ḳhabarī  rahī
gul-e-tar  vahī  gul-e-tar  rahā  vahī  Daal  Daal  harī  rahī
tirī  be-ruḳhī  kī  nigāh  thī  ki  jo  har  ḳhatā  se  barī  rahī
mirī  aarzū  kī  sharāb  thī  ki  jo  jaam  jaam  bharī  rahī
dam-e-marg  bhī  mirī  hasrateñ  had-e-ārzū  se  na  baḌh  sakīñ
usī  kaale  dev  kī  qaid  meñ  mire  bachpane  kī  parī  rahī
dil-e-ġham-zada  pe  guzar  gayā  hai  vo  hādsa  ki  mire  liye
na  to  ġham  rahā  na  ḳhushī  rahī  na  junūñ  rahā  na  parī  rahī
vahī  'tarz'  tujh  pe  rahīm  hai  ye  usī  kā  faiz-e-karīm  hai
ki  asātiza  ke  bhī  rañg  meñ  jo  ġhazal  kahī  vo  kharī  rahī