ahl-e-dil  ke  vāste  paiġhām  ho  kar  rah  ga.ī
zindagī  majbūriyoñ  kā  naam  ho  kar  rah  ga.ī
ho  ga.e  barbād  terī  aarzū  se  pesh-tar
ziist  nazr-e-gardish-e-ayyām  ho  kar  rah  ga.ī
tauba  tauba  us  nigāh-e-mast  kī  sarshāriyāñ
derpā  tauba  bhī  ġharq-e-jām  ho  kar  rah  ga.ī
us  nigāh-e-nāz  ko  to  koī  kuchh  kahtā  nahīñ
aur  mohabbat  kī  nazar  badnām  ho  kar  rah  ga.ī
har  ḳhushī  tabdīl  ġham  meñ  ho  ga.ī  tere  baġhair
sub.h  mujh  tak  aa.ī  bhī  to  shaam  ho  kar  rah  ga.ī
rū-ba-rū  un  ke  kahāñ  thī  fursat-e-iz.hār-e-ġham
lab  ko  ik  jumbish  barā.e  naam  ho  kar  rah  ga.ī
un  ke  jalvoñ  kī  sahar  to  'tarz'  duniyā  le  ga.ī
gesuoñ  kī  shaam  apne  naam  ho  kar  rah  ga.ī