kitne  jumle  haiñ  ki  jo  rū-posh  haiñ  yāroñ  ke  biich
ham  bhī  mujrim  kī  tarah  ḳhāmosh  haiñ  yāroñ  ke  biich
kyā  kaheñ  kis  ne  bahāroñ  ko  ḳhizāñ-sāmāñ  kiyā
dekhne  meñ  to  sabhī  gul-posh  haiñ  yāroñ  ke  biich
ye  bhī  sach  hai  ghar  ke  bhedī  ne  kiyā  ghar  ko  tabāh
ye  bhī  lagtā  hai  ki  sab  nirdosh  haiñ  yāroñ  ke  biich
kyā  pata  kab  ḳhuun  kā  pyāsā  yahāñ  ho  jaa.e  kaun
yuuñ  to  kahne  ko  sabhī  mai-nosh  haiñ  yāroñ  ke  biich
haañ  chalā  ab  sāqiyā  jaadū  bharī  nazroñ  ke  tiir
ham  bhī  dekheñ  kis  qadar  zī-hosh  haiñ  yāroñ  ke  biich
bazm-e-yārāñ  hai  ye  saaqī  mai  nahīñ  to  ġham  na  kar
kitne  haiñ  jo  mai-kada  bar-dosh  haiñ  yāroñ  ke  biich
'tarz'  paḌhtā  hai  koī  jab  jhuum  kar  nazm  o  ġhazal
aisā  lagtā  hai  'firāq'  o  'josh'  haiñ  yāroñ  ke  biich