duur  tak  bas  ḳhuun  ke  Thahre  hue  dariyā  mile
muddatoñ  jaagī  huī  āñkhoñ  ko  dekhā  ro  paḌe
ehtirāman  zindagī  ko  muñh  lagānā  hī  paḌā
varna  ham  aur  zindagī  kā  zahr  tauba  kījiye
apne  kāñdhoñ  par  liye  apnī  ka.ī  shaḳhsiyyateñ
raat  bhar  āñkhoñ  ke  jañgal  meñ  bhaTakte  hī  rahe
chīḳhte  chillāte  andeshoñ  kī  āñkheñ  surḳh  haiñ
jism  kī  nā-puḳhta  saḌkoñ  se  guzarnā  chhoḌiye
ḳhuun  ke  dhabboñ  kī  sachchā.ī  Darātī  hī  rahī
apne  baare  meñ  kabhī  sochā  to  ghabrāne  lage
TuuTe  phūTe  kaale  shabdoñ  ke  bhare  bāzār  meñ
is  qadar  ḳhud  ko  ghumāyā  hai  ki  kaale  paḌ  ga.e