har  ek  shaḳhs  ke  vijdān  se  ḳhitāb  kare
na.e  libās  kī  ḳhvāhish  nayā  badan  DhūñDe
samundaroñ  meñ  utarte  chale  ga.e  lekin
kasāfatoñ  ke  jarāsīm  saath  saath  rahe
na  jaane  kaun  ġham-e-kā.enāt  se  chhup  kar
mire  vajūd  meñ  baiThā  hai  kunDalī  maare
shu.ūrī  taur  par  irfān-e-zāt  kī  ḳhātir
kabhī  jo  sar  ko  uThāyā  to  TūT-phūT  ga.e
ta.alluqāt  kī  zanjīreñ  TūTtī  hī  nahīñ
hameñ  pukār  rahe  haiñ  ḳhalā  ke  bāshinde