shor  se  bach  kar  sahmā  sahmā  baiThā  hai  chup-chāp
hañgāmoñ  kā  baanī  dekho  kaisā  hai  chup-chāp
apne  man  ke  pāgal-pan  ko  aur  kahāñ  le  jaa.eñ
duur  duur  tak  ret  kā  sahrā  leTā  hai  chup-chāp
añg  añg  meñ  lams  kī  ḳhushbū  peñgeñ  letī  hai
añg  añg  meñ  jaise  koī  baiThā  hai  chup-chāp
rishtoñ  kī  dīvāreñ  Dhā  kar  mere  jaisā  shaḳhs
din  ke  zard  pahāḌ  ke  pīchhe  utrā  hai  chup-chāp
log  na  jaane  kaisī  kaisī  bāteñ  karte  haiñ
mere  paas  to  merā  saayā  leTā  hai  chup-chāp