Ahmad Rizwan

aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun

Ahmad Rizwan

Multan, Punjab, Pakistan

1978
aatā hī nahīñ hone kā yaqīñ kyā baat karūñ
hai duur bahut vo ḳhvāb-nashīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ jo aks thā merī āñkhoñ meñ
vo chhoḌ gayā ik shaam kahīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ jo ghaḌiyāñ merī hamdam thiiñ
vo ghaḌiyāñ hī āzār banīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ mire sāthī mujh se chhūT ga.e
vo log nahīñ vo ḳhvāb nahīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ ye log bhalā kab sunte haiñ
sab bāteñ andar Duub ga.iiñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ apnoñ kī jitnī lāsheñ thiiñ
mire siine meñ sab aan girīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ jo bāteñ tum se karnī thiiñ
ab un bātoñ kā vaqt nahīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ kabhī paanī bāteñ kartā thā
ye dariyā is kī ḳhushk zamīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ sahrā meñ chāñd akelā hai
aur mere saath bhī koī nahīñ kyā baat karūñ
kyā baat karūñ 'rizvān' ki ronā aatā hai
sab bāteñ us kī baat se thiiñ kyā baat karūñ
Top Urdushayar.com