ye  zard  phuul  ye  kāġhaz  pe  harf  giile  se
tumhārī  yaad  bhī  aa.ī  hazār  hiile  se
badan  kā  lams  havā  ko  banā  gayā  ḳhushbū
nazar  ke  sehr  se  manzar  hue  nashīle  se
ye  zindagī  bhī  faqat  ret  kā  samundar  hai
kabhī  nigāh  jo  Daalo  fanā  ke  Tiile  se
ye  shā.irī  mujhe  'shahbāz'  yuuñ  bhī  pyārī  hai
ki  merā  ḳhud  se  ta.alluq  hai  is  vasīle  se