vafā  kā  shauq  ye  kis  intihā  meñ  le  aayā
kuchh  aur  daaġh  maiñ  apnī  qabā  meñ  le  aayā
mire  mizāj  mire  hausle  kī  baat  na  kar
maiñ  ḳhud  charāġh  jalā  kar  havā  meñ  le  aayā
dhanak  libās  ghaTā  zulf  dhuup  dhuup  badan
tumhārā  milnā  mujhe  kis  fazā  meñ  le  aayā
vo  ek  ashk  jise  rā.egāñ  samajhte  the
qubūliyat  kā  sharaf  vo  duā  meñ  le  aayā
falak  ko  chhoḌ  ke  ham  dar-ba-dar  na  the  'shahbāz'
zamīñ  se  TūTnā  ham  ko  ḳhalā  meñ  le  aayā