aise  rakhtī  hai  hameñ  terī  mohabbat  zinda
jis  tarah  jism  ko  sāñsoñ  kī  harārat  zinda
shauq  kī  raah  meñ  ik  aisā  bhī  pal  aatā  hai
jis  meñ  ho  jaatī  hai  sadiyoñ  kī  riyāzat  zinda
roz  ik  ḳhauf  kī  āvāz  pe  ham  uThte  haiñ
roz  hotī  hai  dil  o  jaañ  meñ  qayāmat  zinda
ab  bhī  anjān  zamīnoñ  kī  kashish  khīñchtī  hai
ab  bhī  shāyad  hai  lahū  meñ  kahīñ  hijrat  zinda
tā.at-e-jabr  bahut  aam  huī  jaatī  thī
ek  inkār  ne  kī  rasm-e-baġhāvat  zinda
ham  to  mar  kar  bhī  na  bātil  ko  salāmī  deñge
kaise  mumkin  hai  ki  kar  leñ  tirī  bai.at  zinda
ham  meñ  soqrāt  to  koī  nahīñ  phir  bhī  'shahbāz'
zahr  pī  lete  haiñ  rakhte  haiñ  rivāyat  zinda