kab  gavārā  hai  mujhe  aur  kahīñ  par  chamke
merā  sūraj  hai  to  phir  merī  zamīñ  par  chamke
kitne  gulshan  ki  saje  the  mire  iqrār  ke  naam
kitne  ḳhanjar  ki  mirī  ek  nahīñ  par  chamke
jis  ne  din  bhar  kī  tamāzat  ko  sameTā  chup-chāp
shab  ko  taare  bhī  usī  dasht-nashīñ  par  chamke
ye  tirī  bazm  ye  ik  silsila-e-nik.hat-o-nūr
jitne  tārīk  muqaddar  the  yahīñ  par  chamke
yuuñ  bhī  ho  vasl  kā  sūraj  kabhī  ubhre  aur  phir
shām-e-hijrāñ  tire  ik  ek  makīñ  par  chamke
aañkh  kī  zid  hai  ki  palkoñ  pe  sitāre  TūTeñ
dil  kī  ḳhvāhish  ki  har  ik  zaḳhm  yahīñ  par  chamke