ḳhāk-zāda  huuñ  magar  tā-ba  falak  jaatā  hai
merā  idrāk  bahut  duur  talak  jaatā  hai
terī  nisbat  ko  chhupātā  to  bahut  huuñ  lekin
terā  chehra  mirī  āñkhoñ  se  jhalak  jaatā  hai
ik  haqīqat  se  ubhar  aatā  hai  har  shai  kā  vajūd
ek  jugnū  se  añdherā  bhī  chamak  jaatā  hai
yuuñ  to  mumkin  nahīñ  dushman  mire  sar  par  pahuñche
pahre-dāroñ  meñ  koī  aañkh  jhapak  jaatā  hai
maiñ  faqat  ḳhaak  pe  rakhtā  huuñ  jabīñ  ko  'shahbāz'
āsmāñ  ḳhud  hī  mirī  samt  sarak  jaatā  hai