mushkil  to  na  thā  aisā  bhī  aflāk  se  rishta
toḌā  hī  nahīñ  ham  ne  magar  ḳhaak  se  rishta
har  sub.h  kī  qismat  kahāñ  ruḳhsār  kī  laalī
har  shab  kā  kahāñ  dīda-e-namnāk  se  rishta
baḳhshī  hai  tujhe  jis  ne  ḳhad-o-ḳhāl  kī  daulat
hai  mere  badan  kā  bhī  isī  chaak  se  rishta
chhoḌā  hai  kise  fikr  ke  dariyā  ne  salāmat
raas  aayā  kise  mauja-e-idrāk  se  rishta
'shahbāz'  maiñ  dhartī  se  huuñ  mansūb  kuchh  aise
jaise  ki  kisī  jism  kā  poshāk  se  rishta